bhagte sayon ke pichhe ta-ba-kai dauDa karen
bhāgte sāyoñ ke pīchhe tā-ba-kai dauḌā kareñ
zindagī tū hī batā kab tak tirā pīchhā kareñ
rū-e-gul ho chehra-e-mahtāb ho yā husn-e-dost
har chamaktī chiiz ko kuchh duur se dekhā kareñ
be-niyāzī ḳhud sarāpā iltijā ban jā.egī
aap apnī dāstāñ meñ husn to paidā kareñ
dil ki thā ḳhush-fahm āgāh-e-haqīqat ho gayā
shukr bhejeñ yā tirī bedād kā shikva kareñ
muġhbachoñ se mohtasib tak saikḌoñ darbār haiñ
ek sāġhar ke liye kis kis ko ham sajda kareñ
tishnagī had se baḌhī hai mashġhala koī nahīñ
shīsha-o-sāġhar na toḌeñ bāda-kash to kyā kareñ
dūsroñ par tabsira farmāne se pahle 'hafīz'
apne dāman kī taraf bhī ik nazar dekhā kareñ
bhagte sayon ke pichhe ta-ba-kai dauDa karen
zindagi tu hi bata kab tak tera pichha karen
ru-e-gul ho chehra-e-mahtab ho ya husn-e-dost
har chamakti chiz ko kuchh dur se dekha karen
be-niyazi KHud sarapa iltija ban jaegi
aap apni dastan mein husn to paida karen
dil ki tha KHush-fahm aagah-e-haqiqat ho gaya
shukr bhejen ya teri bedad ka shikwa karen
mughbachon se mohtasib tak saikDon darbar hain
ek saghar ke liye kis kis ko hum sajda karen
tishnagi had se baDhi hai mashghala koi nahin
shisha-o-saghar na toDen baada-kash to kya karen
dusron par tabsira farmane se pahle 'hafiz'
apne daman ki taraf bhi ek nazar dekha karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.