bhai KHuda ke bande jaanen dil ko jaise ram kiya
bhaa.ī ḳhudā ke bande jāneñ dil ko jaise raam kiyā
apnī badhā.ī ho duniyā par chaar chhe din jo kaam kiyā
ek nishānī sī sāhil par saarī kahānī chhoḌ ga.ī
Dūbtī naav par us āḳhirī mauj ne kyā in.aam kiyā
pyāre dushman jīvan jogī āḳhir tum bhī dekh hī loge
ḳhud ko ḳhair se kahte sunoge ham ne mazāq jo aam kiyā
naam patā be-shak mat likkho pahuñchegā tum bas ḳhat likkho
aur is had tak gumnāmī meñ paidā kis ne naam kiyā
ḳhushiyāñ ġham jab hañs ro baiThe āḳhir ko sab chup ho baiThe
bujhtā alaav ūñghte taare ham ne ḳhuub kalām kiyā
kuchh mauzūñ nā-mauzūñ kartā yā yuuñ kartā to kyoñ kartā
lekin ḳhālī batri ne bharvāñ bandūq kā kaam kiyā
bhai KHuda ke bande jaanen dil ko jaise ram kiya
apni badhai ho duniya par chaar chhe din jo kaam kiya
ek nishani si sahil par sari kahani chhoD gai
Dubti naw par us aaKHiri mauj ne kya inam kiya
pyare dushman jiwan jogi aaKHir tum bhi dekh hi loge
KHud ko KHair se kahte sunoge hum ne mazaq jo aam kiya
nam pata be-shak mat likkho pahunchega tum bas KHat likkho
aur is had tak gumnami mein paida kis ne nam kiya
KHushiyan gham jab hans ro baiThe aaKHir ko sab chup ho baiThe
bujhta alaw unghte tare hum ne KHub kalam kiya
kuchh mauzun na-mauzun karta ya yun karta to kyon karta
lekin KHali batri ne bharwan banduq ka kaam kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.