bhaDak rahi hai bahut dil mein aatish-e-bebak
bhaḌak rahī hai bahut dil meñ ātish-e-bebāk
bujhā sakegā use kaise dīda-e-namnāk
bahut hī sāda-dil-o-sāda-taur haiñ ham log
fareb-kār zamāna hai shātir-o-chālāk
‘avām bar-sar-e-paikār taḳht-e-shāhī se
nizām-e-zar huā jaatā hai ab ḳhas-o-ḳhāshāk
vo din bhī kyā the ki 'ilm-o-hunar tashaḳhḳhus thā
zamīñ pe apnā tasarruf to zer-e-pā aflāk
nizām-e-zar ko abhī pheñk do samundar meñ
hai is kī fikr meñ badbū vujūd bhī nāpāk
ḳhudā ne apnī hī fitrat pe jis ko ḳhalq kiyā
maiñ sochtā huuñ vo insāñ huā hai kyoñ saffāk
mire suḳhan se taġhāful na kar ki duniyā meñ
hai ahl-e-dil ke liye ye sahīfa-e-idrāk
yahī to log haiñ sarḳhail 'ishq-o-mastī ke
charāġh-e-ārzū dil meñ to hai garebāñ chaak
zamīñ kā bojh haiñ insāniyat pe dhabba haiñ
hai jin kā maqsad-e-hastī faqat zar-o-imlāk
maiñ ḳhud zamīñ se mujhe āsmāñ se kyā matlab
maiñ ḳhāksār mirī zindagī kā faḳhr bhī ḳhaak
zamīn-zādoñ se māyūs ho gayā 'rāhī'
ki us kī āh-o-fuġhāñ ab hai jānib-e-aflāk
bhaDak rahi hai bahut dil mein aatish-e-bebak
bujha sakega use kaise dida-e-namnak
bahut hi sada-dil-o-sada-taur hain hum log
fareb-kar zamana hai shatir-o-chaalak
‘awam bar-sar-e-paikar taKHt-e-shahi se
nizam-e-zar hua jata hai ab KHas-o-KHashak
wo din bhi kya the ki 'ilm-o-hunar tashaKHKHus tha
zamin pe apna tasarruf to zer-e-pa aflak
nizam-e-zar ko abhi phenk do samundar mein
hai is ki fikr mein badbu wujud bhi napak
KHuda ne apni hi fitrat pe jis ko KHalq kiya
main sochta hun wo insan hua hai kyon saffak
mere suKHan se taghaful na kar ki duniya mein
hai ahl-e-dil ke liye ye sahifa-e-idrak
yahi to log hain sarKHail 'ishq-o-masti ke
charagh-e-arzu dil mein to hai gareban chaak
zamin ka bojh hain insaniyat pe dhabba hain
hai jin ka maqsad-e-hasti faqat zar-o-imlak
main KHud zamin se mujhe aasman se kya matlab
main KHaksar meri zindagi ka faKHr bhi KHak
zamin-zadon se mayus ho gaya 'rahi'
ki us ki aah-o-fughan ab hai jaanib-e-aflak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.