bhaDak uTha hai jo ab shoala-o-sharar ki tarah
bhaḌak uThā hai jo ab sho.ala-o-sharar kī tarah
ḳhizāñ-rasīda mirā zehn thā shajar kī tarah
nihāl-e-zīst meñ tanñe lage ġhamoñ ke samar
ki sar ḳhamīda haiñ ham shāḳh-e-bārvar kī tarah
hikāyat-e-lab-o-ruḳhsār kā ye vaqt nahīñ
ki jal rahā hai har ik zehn dopahar kī tarah
vo baat aql se jo rabt hī nahīñ rakhtī
diloñ meñ baiTh ga.ī harf-e-mo'tabar kī tarah
ham apne hī sadaf-e-lā-shu.ūr meñ haiñ nihāñ
khule sadaf to chamakne lageñ guhar kī tarah
hamāre jaate hī ubhregā āftāb yahāñ
shafaq meñ Dūbeñge ham kaukab-e-sahar kī tarah
umīd-e-faiz na rakh mun.imoñ se ai 'kausar'
chaman meñ rahte haiñ ye shāḳh-e-be-samar kī tarah
bhaDak uTha hai jo ab shoala-o-sharar ki tarah
KHizan-rasida mera zehn tha shajar ki tarah
nihaal-e-zist mein tanne lage ghamon ke samar
ki sar KHamida hain hum shaKH-e-barwar ki tarah
hikayat-e-lab-o-ruKHsar ka ye waqt nahin
ki jal raha hai har ek zehn dopahar ki tarah
wo baat aql se jo rabt hi nahin rakhti
dilon mein baiTh gai harf-e-mo'tabar ki tarah
hum apne hi sadaf-e-la-shuur mein hain nihan
khule sadaf to chamakne lagen guhar ki tarah
hamare jate hi ubhrega aaftab yahan
shafaq mein Dubenge hum kaukab-e-sahar ki tarah
umid-e-faiz na rakh munimon se ai 'kausar'
chaman mein rahte hain ye shaKH-e-be-samar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.