bhakt bole hai bhagwan to zahid kahe hai KHuda ja raha hai
bhakt bole hai bhagvan to zāhid kahe hai ḳhudā jā rahā hai
rāste se haTo bevuqūfo mirā mai-kada chal paḌā hai
ik namāzī ke chakkar meñ merī namāzeñ qazā ho rahī haiñ
be-hayā yaar ke dar ke aage musallā bichhā kar khaḌā hai
kaun hai ye divāna jise dekh kar sab hañse jā rahe haiñ
kaun hai jis kī ḳhushbū ne is shaḳhs ko bāvrā kar diyā hai
kaun-sī shai hai ye jis kī jānib ko sab dekhte Dar rahe haiñ
kuchh nahīñ ye to bas un sharīfoñ ke kirdār kā aa.ina hai
bhakt bole hai bhagwan to zahid kahe hai KHuda ja raha hai
raste se haTo bewuqufo mera mai-kada chal paDa hai
ek namazi ke chakkar mein meri namazen qaza ho rahi hain
be-haya yar ke dar ke aage musalla bichha kar khaDa hai
kaun hai ye diwana jise dekh kar sab hanse ja rahe hain
kaun hai jis ki KHushbu ne is shaKHs ko bawra kar diya hai
kaun-si shai hai ye jis ki jaanib ko sab dekhte Dar rahe hain
kuchh nahin ye to bas un sharifon ke kirdar ka aaina hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.