bhala be-KHayali mein kis tarah koi bojh gham ka uTha sakun
bhala be-KHayali mein kis tarah koi bojh gham ka uTha sakun
Nadeem Malik
MORE BYNadeem Malik
bhalā be-ḳhayālī meñ kis tarah koī bojh ġham kā uThā sakūñ
tū kahe to siine meñ jān-e-man tire ġham kā tiir maiñ khā sakūñ
tū hī mere dil ke qarīb hai to 'azīz hai mujhe jaan se
maiñ kahāñ se lā.ūñ vo hausla tujhe haal dil kā sunā sakūñ
tujhe soch soch ke jān-e-jāñ huī muntashir mirī zindagī
na maiñ ro sakūñ na maiñ hañs sakūñ na maiñ aa sakūñ na maiñ jā sakūñ
kahā us ne haath ko chuum kar mire dard-o-ġham kā 'ilāj kar
kahā maiñ to ḳhud huuñ marīz-e-ġham tirā bojh kaise uThā sakūñ
mirā pairahan hai phaTā huā mirā dil hai ġham se aTā huā
yahāñ kaun hai mirā ham-nashīñ jise dard apnā sunā sakūñ
vo 'nadīm' thā jo guzar gayā tire 'ishq meñ yūñhī sargirāñ
dil-e-nā-murād mujhe batā use kaise DhūñD ke lā sakūñ
bhala be-KHayali mein kis tarah koi bojh gham ka uTha sakun
tu kahe to sine mein jaan-e-man tere gham ka tir main kha sakun
tu hi mere dil ke qarib hai to 'aziz hai mujhe jaan se
main kahan se laun wo hausla tujhe haal dil ka suna sakun
tujhe soch soch ke jaan-e-jaan hui muntashir meri zindagi
na main ro sakun na main hans sakun na main aa sakun na main ja sakun
kaha us ne hath ko chum kar mere dard-o-gham ka 'ilaj kar
kaha main to KHud hun mariz-e-gham tera bojh kaise uTha sakun
mera pairahan hai phaTa hua mera dil hai gham se aTa hua
yahan kaun hai mera ham-nashin jise dard apna suna sakun
wo 'nadim' tha jo guzar gaya tere 'ishq mein yunhi sargiran
dil-e-na-murad mujhe bata use kaise DhunD ke la sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.