bhala dil ki tabahi par koi nashad hota hai
bhalā dil kī tabāhī par koī nāshād hotā hai
are ye ghar to aksar TuuT kar ābād hotā hai
jise kuchh log kahte haiñ sukūn-e-zindagī yaaro
ḳhudā ma.alūm vo jauhar kidhar ījād hotā hai
vo yuuñ ḳhāmosh baiThe haiñ vo yuuñ ḳhāmosh baiThe haiñ
ki bas irshād hotā hai ki bas irshād hotā hai
chaman meñ ho rahī haiñ muḳhtalif sargoshiyāñ kal se
ḳhudā ma.alūm kis kā āshiyāñ barbād hotā hai
agar mahfil salāmat hai to 'ishrat' ham bhī dekheñge
hamāre baad kaun āmāda-e-fariyād hotā hai
bhala dil ki tabahi par koi nashad hota hai
are ye ghar to aksar TuT kar aabaad hota hai
jise kuchh log kahte hain sukun-e-zindagi yaro
KHuda malum wo jauhar kidhar ijad hota hai
wo yun KHamosh baiThe hain wo yun KHamosh baiThe hain
ki bas irshad hota hai ki bas irshad hota hai
chaman mein ho rahi hain muKHtalif sargoshiyan kal se
KHuda malum kis ka aashiyan barbaad hota hai
agar mahfil salamat hai to 'ishrat' hum bhi dekhenge
hamare baad kaun aamada-e-fariyaad hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.