bhala ho us ka jo raste mein mujhko Dal gaya
bhalā ho us kā jo raste meñ mujh ko Daal gayā
zamāna sang samajh kar mujhe uchhāl gayā
shajar bhī zor se jis ke zamīn-bos hue
vahī to jhoñkā havā kā mujhe sañbhāl gayā
taḌap rahī hai nazar aaj bhī usī ke liye
vo ek jalva jo dil ko mire ujaal gayā
mire taḌapne pe us ko mazāq sūjhā thā
hañsī hañsī meñ har ik baat merī Taal gayā
shikāyateñ thiiñ faqat un ke duur rahne tak
vo paas aa.e to dil se har ik malāl gayā
mirī tabāhī pe sab kī lagī rahīñ nazreñ
kisī kā bhī na tumhārī taraf ḳhayāl gayā
taġhayyurāt ne sab kuchh badal diyā 'ārif'
zamāna ik na.e sāñche meñ ham ko Dhaal gayā
bhala ho us ka jo raste mein mujh ko Dal gaya
zamana sang samajh kar mujhe uchhaal gaya
shajar bhi zor se jis ke zamin-bos hue
wahi to jhonka hawa ka mujhe sanbhaal gaya
taDap rahi hai nazar aaj bhi usi ke liye
wo ek jalwa jo dil ko mere ujal gaya
mere taDapne pe us ko mazaq sujha tha
hansi hansi mein har ek baat meri Tal gaya
shikayaten thin faqat un ke dur rahne tak
wo pas aae to dil se har ek malal gaya
meri tabahi pe sab ki lagi rahin nazren
kisi ka bhi na tumhaari taraf KHayal gaya
taghayyuraat ne sab kuchh badal diya 'arif'
zamana ek nae sanche mein hum ko Dhaal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.