bhala zamin se milta hai aasman kahan
bhalā zamīn se miltā hai āsmān kahāñ
ye do badan kabhī hote haiñ ek jaan kahāñ
tamām 'umr mujhe ye patā chalā hī nahīñ
kahāñ hai ruuh kahāñ dil hai aur jaan kahāñ
udhar ḳhushī hī ḳhushī hai idhar hai ġham hī ġham
tirā fasāna kahāñ merī dāstān kahāñ
ji.eñ vatan ke liye aur mareñ vatan ke liye
hamāre mulk meñ ab aise sākinān kahāñ
badan to merā zamīñ kab kī khā ga.ī hotī
zamāna DhūñD rahā hai mire nishān kahāñ
bhala zamin se milta hai aasman kahan
ye do badan kabhi hote hain ek jaan kahan
tamam 'umr mujhe ye pata chala hi nahin
kahan hai ruh kahan dil hai aur jaan kahan
udhar KHushi hi KHushi hai idhar hai gham hi gham
tera fasana kahan meri dastan kahan
jien watan ke liye aur maren watan ke liye
hamare mulk mein ab aise sakinan kahan
badan to mera zamin kab ki kha gai hoti
zamana DhunD raha hai mere nishan kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.