bhale kashti se dariya muKHtalif hai
bhale kashtī se dariyā muḳhtalif hai
magar kab un kā rishta muḳhtalif hai
kahāñ jaa.eñ ye ābādī ke maare
ki sahrā meñ bhī ab kyā muḳhtalif hai
kahīñ aa kar ikaTThā hoñge kaise
jo sab kā sab se rasta muḳhtalif hai
sañvāreñ ḳhud ko ham āḳhir kahāñ tak
har ā.īne meñ chehra muḳhtalif hai
koī kaise samajh pā.egā ham ko
nazar se jab nazriya muḳhtalif hai
ta.ajjub hai samundar hī meñ rah kar
samundar se jazīra muḳhtalif hai
jahāñ se dekhtā thā koī mujh ko
abhī bhī vo darīcha muḳhtalif hai
ḳhudā ne infirādiyyat vo baḳhshī
hai jo bhī TūTā-phūTā muḳhtalif hai
bhale kashti se dariya muKHtalif hai
magar kab un ka rishta muKHtalif hai
kahan jaen ye aabaadi ke mare
ki sahra mein bhi ab kya muKHtalif hai
kahin aa kar ikaTTha honge kaise
jo sab ka sab se rasta muKHtalif hai
sanwaren KHud ko hum aaKHir kahan tak
har aaine mein chehra muKHtalif hai
koi kaise samajh paega hum ko
nazar se jab nazriya muKHtalif hai
tajjub hai samundar hi mein rah kar
samundar se jazira muKHtalif hai
jahan se dekhta tha koi mujh ko
abhi bhi wo daricha muKHtalif hai
KHuda ne infiradiyyat wo baKHshi
hai jo bhi TuTa-phuTa muKHtalif hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.