bhali lagti hai aisi be-baha shai qadr-danon par
bhalī lagtī hai aisī be-bahā shai qadr-dānoñ par
javānī muft meñ barbād hotī hai javānoñ par
falak to bijliyoñ kī tarbiyat kar hī nahīñ paatā
zamīñ-zāde bhī patthar pheñkte haiñ āshiyānoñ par
jahāñ ham haiñ vahāñ honā na honā ḳhush-gumānī hai
ḳhudā kī rahmateñ nāzil hoñ ham se ḳhush-gumānoñ par
dukāneñ phail kar dīvār ban jaatī haiñ raste meñ
lagī rahtī haiñ lekin raunaqeñ kyā kyā dukānoñ par
savā neze pe sūraj aa bhī jaa.e ham na boleñge
qayāmat be-sabab hī TūTtī hai ḳhasta-jānoñ par
zabāñ ko kaaT dete haiñ ki dil kā haal kahtī hai
ye kaisā vaqt nāzuk aa paḌā hai tarjumānoñ par
kuhistānī muhim ho yā masāfat dasht-o-sahrā kī
pahuñch jaate haiñ saare rāste apne Thikānoñ par
utarte hī balā jin meñ ulajh kar be-amāñ hogī
lagā rakkhī haiñ aisī sāñgiyāñ ham ne machānoñ par
ye kyā 'shāhīn' har sūrat mujassam ho ke rah jaa.e
kabhī to aag barse sāl-dīda sard-ḳhānoñ par
bhali lagti hai aisi be-baha shai qadr-danon par
jawani muft mein barbaad hoti hai jawanon par
falak to bijliyon ki tarbiyat kar hi nahin pata
zamin-zade bhi patthar phenkte hain aashiyanon par
jahan hum hain wahan hona na hona KHush-gumani hai
KHuda ki rahmaten nazil hon hum se KHush-gumanon par
dukanen phail kar diwar ban jati hain raste mein
lagi rahti hain lekin raunaqen kya kya dukanon par
sawa neze pe suraj aa bhi jae hum na bolenge
qayamat be-sabab hi TuTti hai KHasta-jaanon par
zaban ko kaT dete hain ki dil ka haal kahti hai
ye kaisa waqt nazuk aa paDa hai tarjumanon par
kuhistani muhim ho ya masafat dasht-o-sahra ki
pahunch jate hain sare raste apne Thikanon par
utarte hi bala jin mein ulajh kar be-aman hogi
laga rakkhi hain aisi sangiyan hum ne machanon par
ye kya 'shahin' har surat mujassam ho ke rah jae
kabhi to aag barse sal-dida sard-KHanon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.