bhanwar banti hui raaten hamari
bhañvar bantī huī rāteñ hamārī
kināre par munājāteñ hamārī
na.ī duniyā meñ kis ne pūchhnā hai
kahāñ nisbat hai kyā zāteñ hamārī
kabhī ham vaqt se aage bhī the jab
hameñ azbar thiiñ auqāteñ hamārī
barasne kī lagan meñ bhuul baiThe
haiñ kin ḳhatoñ pe barsāteñ hamārī
zamāne se zamāna kar rahā hai
kabhī ham se kare bāteñ hamārī
shikārī bhī hamī ham hī nishāna
baḌī pur-pech haiñ ghāteñ hamārī
salāḳheñ chūmne aate haiñ saare
yahīñ tak haiñ mulāqāteñ hamārī
bhanwar banti hui raaten hamari
kinare par munajaten hamari
nai duniya mein kis ne puchhna hai
kahan nisbat hai kya zaten hamari
kabhi hum waqt se aage bhi the jab
hamein azbar thin auqaten hamari
barasne ki lagan mein bhul baiThe
hain kin KHaton pe barsaten hamari
zamane se zamana kar raha hai
kabhi hum se kare baaten hamari
shikari bhi hami hum hi nishana
baDi pur-pech hain ghaten hamari
salaKHen chumne aate hain sare
yahin tak hain mulaqaten hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.