bhanwar kashti Dubota hai samundar kuchh nahin kahta
bhanwar kashti Dubota hai samundar kuchh nahin kahta
Aftab Ahmad Khan Nasim
MORE BYAftab Ahmad Khan Nasim
bhañvar kashtī Dubotā hai samundar kuchh nahīñ kahtā
vo hone detā hai sab kuchh muqaddar kuchh nahīñ kahtā
laboñ ko maslahat se band hī rakhtā hai ye zālim
udhar jalte haiñ ghar aur merā rahbar kuchh nahīñ kahtā
gadāgar chaar paise pā ke ūñchā boltā hai ab
zar-o-dīnār rakh kar bhī tavañgar kuchh nahīñ kahtā
samar tak haath na pahuñche to baunā ḳhuub rotā hai
phaloñ kā daan kartā hai qad-āvar kuchh nahīñ kahtā
hathelī boltī hai yā batā detī hai peshānī
sitāre bolte haiñ sab muqaddar kuchh nahīñ kahtā
'nasīm' ik mo.ajiza hai server-e-ālam kā duniyā meñ
alī leTe hue haiñ aur bistar kuchh nahīñ kahtā
bhanwar kashti Dubota hai samundar kuchh nahin kahta
wo hone deta hai sab kuchh muqaddar kuchh nahin kahta
labon ko maslahat se band hi rakhta hai ye zalim
udhar jalte hain ghar aur mera rahbar kuchh nahin kahta
gadagar chaar paise pa ke uncha bolta hai ab
zar-o-dinar rakh kar bhi tawangar kuchh nahin kahta
samar tak hath na pahunche to bauna KHub rota hai
phalon ka dan karta hai qad-awar kuchh nahin kahta
hatheli bolti hai ya bata deti hai peshani
sitare bolte hain sab muqaddar kuchh nahin kahta
'nasim' ek moajiza hai serwer-e-alam ka duniya mein
ali leTe hue hain aur bistar kuchh nahin kahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.