bhanwar kashti kinara mustaqil hai
bhañvar kashtī kinārā mustaqil hai
safar kā isti.āra mustaqil hai
yahāñ kuchh der to ruknā paḌegā
pas-e-parda ishārā mustaqil hai
terā lahja gavāhī de rahā hai
mohabbat meñ ḳhasārā mustaqil hai
achānak vasl kī dīvār TuuTī
so ab ye hijr saarā mustaqil hai
nazar kaise haTegī āsmāñ se
fazā meñ jab ġhubāra mustaqil hai
ḳhushī kā isti.ārā DhūñD leñge
abhī ġham par guzāra mustaqil hai
bhaTak jā.eñge yā manzil milegī
yahāñ qutbī sitārā mustaqil hai
bhanwar kashti kinara mustaqil hai
safar ka istiara mustaqil hai
yahan kuchh der to rukna paDega
pas-e-parda ishaara mustaqil hai
tera lahja gawahi de raha hai
mohabbat mein KHasara mustaqil hai
achanak wasl ki diwar TuTi
so ab ye hijr sara mustaqil hai
nazar kaise haTegi aasman se
faza mein jab ghubara mustaqil hai
KHushi ka istiara DhunD lenge
abhi gham par guzara mustaqil hai
bhaTak jaenge ya manzil milegi
yahan qutbi sitara mustaqil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.