bhanwar mein tu hi faqat mera aasra to nahin
bhañvar meñ tū hī faqat merā aasrā to nahīñ
tū nāḳhudā hī sahī par mirā ḳhudā to nahīñ
ik aur mujh ko mirī tarz kā milā hai yahāñ
so ab ye sochtā huuñ maiñ vo dūsrā to nahīñ
abhī bhī chaltā hai saaya jo saath saath mire
batā ai vaqt kabhī maiñ shajar rahā to nahīñ
haiñ gahrī jaḌ se shajar kī bulandiyāñ mashrūt
so pastiyāñ ye kahīñ merā irtiqā to nahīñ
jo paas ye mire be-ḳhauf chale aate haiñ
mire badan pe parindoñ kā ghoñsla to nahīñ
ai aa.ine tū zarā dekh ġhaur se mirī aañkh
gire haiñ ashk koī ḳhvāb bhī girā to nahīñ
bhanwar mein tu hi faqat mera aasra to nahin
tu naKHuda hi sahi par mera KHuda to nahin
ek aur mujh ko meri tarz ka mila hai yahan
so ab ye sochta hun main wo dusra to nahin
abhi bhi chalta hai saya jo sath sath mere
bata ai waqt kabhi main shajar raha to nahin
hain gahri jaD se shajar ki bulandiyan mashrut
so pastiyan ye kahin mera irtiqa to nahin
jo pas ye mere be-KHauf chale aate hain
mere badan pe parindon ka ghonsla to nahin
ai aaine tu zara dekh ghaur se meri aankh
gire hain ashk koi KHwab bhi gira to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.