bhar gai firqa-paraston se ye duniya kaise
bhar ga.ī firqa-parastoñ se ye duniyā kaise
raam rahmān meñ hone lagā jhagḌā kaise
hiir par kuchh nahīñ teshe pe savāl uTThegā
ishq meñ mar gayā rāñjhā koī pyāsā kaise
mere bhaa.ī ne jalā Daalā hai ab ke mujh ko
chāh-e-kan.āñ se mirā niklegā kapḌā kaise
ḳhud se ik umr lagī rishta banāne meñ mujhe
log an-jānoñ se kar lete haiñ rishta kaise
ham ne kashtī ko samundar meñ utārā hī nahīñ
ham ko tūfāñ meñ nazar aa.e jazīra kaise
zimme-dārī kā koī bojh uThāyā bhī nahīñ
vaqt se pahle hī hone lagā būḌhā kaise
umr-bhar maiñ ne gulāboñ kī tijārat kī hai
paḌ gayā hai ye mire haath meñ chhālā kaise
ik payambar kī taraf-dār hai maanā bastī
but yahāñ biktā hai aazar kā tarāshā kaise
har qadam par ye sañbhāle hai anā ko merī
phaaḌ kar pheñk duuñ ġhurbat kā labāda kaise
zahr-e-ġham ham ne zamāne kā piyā hai barsoñ
tan-badan aap kā hone lagā niilā kaise
bhar gai firqa-paraston se ye duniya kaise
ram rahman mein hone laga jhagDa kaise
hir par kuchh nahin teshe pe sawal uTThega
ishq mein mar gaya ranjha koi pyasa kaise
mere bhai ne jala Dala hai ab ke mujh ko
chah-e-kanan se mera niklega kapDa kaise
KHud se ek umr lagi rishta banane mein mujhe
log an-jaanon se kar lete hain rishta kaise
hum ne kashti ko samundar mein utara hi nahin
hum ko tufan mein nazar aae jazira kaise
zimme-dari ka koi bojh uThaya bhi nahin
waqt se pahle hi hone laga buDha kaise
umr-bhar main ne gulabon ki tijarat ki hai
paD gaya hai ye mere hath mein chhaala kaise
ek payambar ki taraf-dar hai mana basti
but yahan bikta hai aazar ka tarasha kaise
har qadam par ye sanbhaale hai ana ko meri
phaD kar phenk dun ghurbat ka labaada kaise
zahr-e-gham hum ne zamane ka piya hai barson
tan-badan aap ka hone laga nila kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.