bhar ke daman mein tera ranj teri yaad samet
bhar ke dāman meñ tirā ranj tirī yaad samet
lauT jā.eñge isī girya-e-bedād samet
jaise ham kār-e-jahāñ ke liye mauzūñ hī na hoñ
ham ko lauTā diyā jaatā rahā asnād samet
log chaupāl meñ baiThe the magar sākit the
ham bhī ḳhāmosh rahe zaḳhm kī rūdād samet
jotshī koī ulaT-pher kā hal hai ki nahīñ
sab sitāre haiñ nahūsat bhare ā'dād samet
maiñ ne hī bhuuk ko ḳhairāt pe bartar rakkhā
log aa.e the mirī samt bhī imdād samet
maiñ to jo dekh rahī huuñ vahī bolūñgī sadā
qaid kar dījiye mujh ko lab-e-āzād samet
maiñ ne kis jabr meñ kaaTī hai ye pasmāñda hayāt
mujh ko koī bhī na samjhā mirī aulād samet
bhar ke daman mein tera ranj teri yaad samet
lauT jaenge isi girya-e-bedad samet
jaise hum kar-e-jahan ke liye mauzun hi na hon
hum ko lauTa diya jata raha asnad samet
log chaupal mein baiThe the magar sakit the
hum bhi KHamosh rahe zaKHm ki rudad samet
jotshi koi ulaT-pher ka hal hai ki nahin
sab sitare hain nahusat bhare aa'dad samet
main ne hi bhuk ko KHairaat pe bartar rakkha
log aae the meri samt bhi imdad samet
main to jo dekh rahi hun wahi bolungi sada
qaid kar dijiye mujh ko lab-e-azad samet
main ne kis jabr mein kaTi hai ye pasmanda hayat
mujh ko koi bhi na samjha meri aulad samet
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.