bhar to de maut zara umr ke paimane ko
bhar to de maut zarā umr ke paimāne ko
vaqt likkhegā lahū se mire afsāne ko
dushman-e-jāñ hī sahī rāhbar-e-manzil na sahī
raushnī maut dikhātī rahī parvāne ko
ġham ġhalat hote the maiḳhāne meñ kal kī hai ye baat
mauj-e-ġham aaj bahā le ga.ī maiḳhāne ko
dast-e-himmat kī hai tauhīn duā kyā kartā
aar samjhā kiyā taqdīr badalvāne ko
paañv se un ke nikalte hue dekhī hai zamīñ
haath se rakh bhī na paa.e the jo paimāne ko
rāh-e-tadbīr meñ haa.il ho to ka.aba Dhā deñ
aaj siine se lagā.e haiñ jo but-ḳhāne ko
koshish-e-zabt ne chehre kī badal dī rangat
kis ne rokā thā sitam kar ke taḌap jaane ko
ab ye qismat ki rahūñ zauq-e-amal se mahrūm
sar pe āñkhoñ pe rakhā aap ke farmāne ko
kuchh junūñ ne bhī tamāshā-e-ḳhabar dekh liyā
kitne dīvāne bane dekh ke dīvāne ko
bhar to de maut zara umr ke paimane ko
waqt likkhega lahu se mere afsane ko
dushman-e-jaan hi sahi rahbar-e-manzil na sahi
raushni maut dikhati rahi parwane ko
gham ghalat hote the maiKHane mein kal ki hai ye baat
mauj-e-gham aaj baha le gai maiKHane ko
dast-e-himmat ki hai tauhin dua kya karta
aar samjha kiya taqdir badalwane ko
panw se un ke nikalte hue dekhi hai zamin
hath se rakh bhi na pae the jo paimane ko
rah-e-tadbir mein hail ho to kaba Dha den
aaj sine se lagae hain jo but-KHane ko
koshish-e-zabt ne chehre ki badal di rangat
kis ne roka tha sitam kar ke taDap jaane ko
ab ye qismat ki rahun zauq-e-amal se mahrum
sar pe aankhon pe rakha aap ke farmane ko
kuchh junun ne bhi tamasha-e-KHabar dekh liya
kitne diwane bane dekh ke diwane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.