bharam khulne na pae bandagi ka
bharam khulne na paa.e bandagī kā
vo mātam kar rahe haiñ zindagī kā
ta.ajjub hai ḳhulūs-e-dostāñ par
nahīñ ġham dushmanoñ kī dushmanī kā
bhaḌak uThtī hai dil meñ ātish-e-ġham
ḳhayāl aatā hai jab un kī galī kā
abhī hai band aañkh insāniyat kī
abhī dam ghuT rahā hai aadmī kā
tumhārī yaad ne kī rahnumā.ī
ḳhayāl aayā mujhe jab be-ḳhudī kā
lagī dil kī ho alfāz-o-bayāñ meñ
yahī ek ḳhaas fan hai shā.irī kā
vahī dushman bane baiThe haiñ 'maikash'
jo dam bharte the apnī dostī kā
bharam khulne na pae bandagi ka
wo matam kar rahe hain zindagi ka
tajjub hai KHulus-e-dostan par
nahin gham dushmanon ki dushmani ka
bhaDak uThti hai dil mein aatish-e-gham
KHayal aata hai jab un ki gali ka
abhi hai band aankh insaniyat ki
abhi dam ghuT raha hai aadmi ka
tumhaari yaad ne ki rahnumai
KHayal aaya mujhe jab be-KHudi ka
lagi dil ki ho alfaz-o-bayan mein
yahi ek KHas fan hai shairi ka
wahi dushman bane baiThe hain 'maikash'
jo dam bharte the apni dosti ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.