bhare hain aankhon mein aansu main ro nahin sakti
bhare haiñ āñkhoñ meñ aañsū maiñ ro nahīñ saktī
ki āñsuoñ se koī zaḳhm dho nahīñ saktī
maiñ jiite jī nahīñ chhoḌūñgī haath se dāman
tujh aisā gauhar-e-nāyāb kho nahīñ saktī
qadam qadam pe vo patthar bichhā rahā hai to kyā
maiñ us kī raah meñ kāñTe to bo nahīñ saktī
taqāzā kyā hai masīhā.ī kā samajhtī huuñ
kisī ke dil meñ bhī nashtar chubho nahīñ saktī
kinārā duur sahī nāḳhudā hai merā ḳhudā
koī bhī mauj safīna Dubo nahīñ saktī
tū āshnā nahīñ tahzīb-e-ishq se shāyad
maiñ apnā 'ahd-e-vafā toḌ to nahīñ saktī
nigāh dar pe lagī rahtī hai mirī 'zohra'
ghar aa na jaa.eñ vo jab tak maiñ so nahīñ saktī
bhare hain aankhon mein aansu main ro nahin sakti
ki aansuon se koi zaKHm dho nahin sakti
main jite ji nahin chhoDungi hath se daman
tujh aisa gauhar-e-nayab kho nahin sakti
qadam qadam pe wo patthar bichha raha hai to kya
main us ki rah mein kanTe to bo nahin sakti
taqaza kya hai masihai ka samajhti hun
kisi ke dil mein bhi nashtar chubho nahin sakti
kinara dur sahi naKHuda hai mera KHuda
koi bhi mauj safina Dubo nahin sakti
tu aashna nahin tahzib-e-ishq se shayad
main apna 'ahd-e-wafa toD to nahin sakti
nigah dar pe lagi rahti hai meri 'zohra'
ghar aa na jaen wo jab tak main so nahin sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.