Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhare jo zaKHm to daghon se kyun uljhen?

Alok Yadav

bhare jo zaKHm to daghon se kyun uljhen?

Alok Yadav

MORE BYAlok Yadav

    bhare jo zaḳhm to dāġhoñ se kyuuñ uljheñ?

    ga.ī jo biit un bātoñ se kyuuñ uljheñ?

    uThā kar taaq pe rakh deñ sabhī yādeñ

    nahīñ jo tirī yādoñ se kyuuñ uljheñ?

    ḳhudā maujūd hai jo har jagah to phir

    aqīdat-kesh but-ḳhānoñ se kyuuñ uljheñ?

    ye maanā thī baḌī kaalī shab-e-furqat

    sahar jab ho ga.ī rātoñ se kyuuñ uljheñ?

    havā.eñ jo guloñ se kheltī thiiñ kal

    mire mahbūb zulfoñ se kyuuñ uljheñ?

    isī kāran nahīñ royā tire aage

    mire aañsū tirī palkoñ se kyuuñ uljheñ?

    nadī ye soch kar chup-chāp bahtī hai

    sadā.eñ us vīrānoñ se kyuuñ uljheñ?

    unheñ kyā vāsta 'ālok'-jī ġham se

    guloñ ke āshnā ḳhāroñ se kyuuñ uljheñ?

    bhare jo zaKHm to daghon se kyun uljhen?

    gai jo bit un baaton se kyun uljhen?

    uTha kar taq pe rakh den sabhi yaaden

    nahin jo tu teri yaadon se kyun uljhen?

    KHuda maujud hai jo har jagah to phir

    aqidat-kesh but-KHanon se kyun uljhen?

    ye mana thi baDi kali shab-e-furqat

    sahar jab ho gai raaton se kyun uljhen?

    hawaen jo gulon se khelti thin kal

    mere mahbub ki zulfon se kyun uljhen?

    isi karan nahin roya tere aage

    mere aansu teri palkon se kyun uljhen?

    nadi ye soch kar chup-chap bahti hai

    sadaen us ki viranon se kyun uljhen?

    unhen kya wasta 'alok'-ji gham se

    gulon ke aashna KHaron se kyun uljhen?

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now