bhare kamre mein udasi ka asar tanha kiya
bhare kamre meñ udāsī kā asar tanhā kiyā
jaane kyā baat thī kyā soch ke ghar tanhā kiyā
ḳhud meñ jhāñkā to mire jism se marbūt thā vo
maiñ ne jis jis ko bhī tā-hadd-e-nazar tanhā kiyā
kis ikaa.ī ko bikharne duuñ kise jam.a karūñ
kahāñ karnā thā badan tanhā kidhar tanhā kiyā
mere malbe kī bachat roz khaTaktī thī use
mere vahshī ne mujhe bār-e-digar tanhā kiyā
kitnī mushkil se basāyā tirā dhaḌkā dil meñ
jism ābād na ho jaa.e agar tanhā kiyā
mujh ḳhalā-zād meñ vo ḳhālī jagah chāhtī thī
karnā bantā to na thā ḳhud ko magar tanhā kiyā
ik nishast us ke liye ḳhālī rakhī vahshat kī
jis ke hamrāh mohabbat kā safar tanhā kiyā
bhare kamre mein udasi ka asar tanha kiya
jaane kya baat thi kya soch ke ghar tanha kiya
KHud mein jhanka to mere jism se marbut tha wo
main ne jis jis ko bhi ta-hadd-e-nazar tanha kiya
kis ikai ko bikharne dun kise jama karun
kahan karna tha badan tanha kidhar tanha kiya
mere malbe ki bachat roz khaTakti thi use
mere wahshi ne mujhe bar-e-digar tanha kiya
kitni mushkil se basaya tera dhaDka dil mein
jism aabaad na ho jae agar tanha kiya
mujh KHala-zad mein wo KHali jagah chahti thi
karna banta to na tha KHud ko magar tanha kiya
ek nishast us ke liye KHali rakhi wahshat ki
jis ke hamrah mohabbat ka safar tanha kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.