bhare makan mein rote hue akela tha
bhare makān meñ rote hue akelā thā
maiñ apne logoñ ke hote hue akelā thā
maiñ us ke baa'd kabhī niiñd meñ na jā paayā
vo mere ḳhvāb meñ sote hue akelā thā
vagarna aaj tirā naam jaan lete sab
maiñ apne zaḳhm ko dhote hue akelā thā
ab us kī chhāñv meñ bachche galī ke khelte haiñ
maiñ jis daraḳht ko bote hue akelā thā
ye sab parinde use dekhne ko aa.e haiñ
ye ik shajar ki jo rote hue akelā thā
ye aaj sonā banī hai to yaar aa pahuñche
maiñ apnī miTTī ko Dhote hue akelā thā
vo tā'ziyat ke liye dostoñ ke saath aayā
jo shaḳhs mujh ko Dubote hue akelā thā
bhare makan mein rote hue akela tha
main apne logon ke hote hue akela tha
main us ke ba'd kabhi nind mein na ja paya
wo mere KHwab mein sote hue akela tha
wagarna aaj tera nam jaan lete sab
main apne zaKHm ko dhote hue akela tha
ab us ki chhanw mein bachche gali ke khelte hain
main jis daraKHt ko bote hue akela tha
ye sab parinde use dekhne ko aae hain
ye ek shajar ki jo rote hue akela tha
ye aaj sona bani hai to yar aa pahunche
main apni miTTi ko Dhote hue akela tha
wo ta'ziyat ke liye doston ke sath aaya
jo shaKHs mujh ko Dubote hue akela tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.