bhare paDe hain meri aankh mein azab ke zaKHm
bhare paḌe haiñ mirī aañkh meñ azaab ke zaḳhm
kahīñ pe niiñd kī choTeñ kahīñ pe ḳhvāb ke zaḳhm
'ajīb dasht thā jis meñ saje the ḳhvāb ke zaḳhm
khulī jo aañkh to dil par mile azaab ke zaḳhm
dikhe haiñ tum ko jo dast-e-varaq pe kaale nishāñ
unhīñ ko kahtī hai hassāsiyyat kitāb ke zaḳhm
bujhī sī dhuup kī āñkheñ Dhalā huā chehra
yahī to saaf batāte haiñ āftāb ke zaḳhm
ye kaun aayā gayā hai yahāñ shab-e-me’rāj
miTā gayā jo kaf-e-pā se māhtāb ke zaḳhm
bahut se pyāse sar-e-nahr aa ke lauT ga.e
kisī bhī shaḳhs ne dekhe nahīñ hubāb ke zaḳhm
lipaT ke kartī hai shabnam ‘ilāj-e-zaḳhm yahāñ
magar mahakte haiñ har din kisī gulāb ke zaḳhm
bichhā hai āñkhoñ meñ 'shārib' ke niiñd kā bistar
qiyām karte haiñ aa kar yahāñ pe ḳhvāb ke zaḳhm
bhare paDe hain meri aankh mein azab ke zaKHm
kahin pe nind ki choTen kahin pe KHwab ke zaKHm
'ajib dasht tha jis mein saje the KHwab ke zaKHm
khuli jo aankh to dil par mile azab ke zaKHm
dikhe hain tum ko jo dast-e-waraq pe kale nishan
unhin ko kahti hai hassasiyyat kitab ke zaKHm
bujhi si dhup ki aankhen Dhala hua chehra
yahi to saf batate hain aaftab ke zaKHm
ye kaun aaya gaya hai yahan shab-e-me’raj
miTa gaya jo kaf-e-pa se mahtab ke zaKHm
bahut se pyase sar-e-nahr aa ke lauT gae
kisi bhi shaKHs ne dekhe nahin hubab ke zaKHm
lipaT ke karti hai shabnam ‘ilaj-e-zaKHm yahan
magar mahakte hain har din kisi gulab ke zaKHm
bichha hai aankhon mein 'shaarib' ke nind ka bistar
qiyam karte hain aa kar yahan pe KHwab ke zaKHm
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.