bhari bazm mein gul-fishan aur bhi hain
bharī bazm meñ gul-fishāñ aur bhī haiñ
hamāre sivā nukta-dāñ aur bhī haiñ
ye duniyā to miT jaane vaalī hai lekin
zamīñ aur bhī āsmāñ aur bhī haiñ
ye duniyā to ik zarra-e-muḳhtasar hai
makīñ aur bhī haiñ makāñ aur bhī haiñ
na tanhā mirā kārvāñ raah meñ hai
rah-e-ishq meñ kārvāñ aur bhī haiñ
na ho mutma.in ek patthar haTā kar
ki raste meñ sang-e-girāñ aur bhī haiñ
agar jī lage aap kā to sunā.ūñ
fasāne ka.ī bar-zabāñ aur bhī haiñ
kaho bijliyoñ se ki barseñ musalsal
abhī baaġh meñ āshiyāñ aur bhī haiñ
'urūj' apne goshe se bāhar to niklo
ki bāhar hazāroñ jahāñ aur bhī haiñ
bhari bazm mein gul-fishan aur bhi hain
hamare siwa nukta-dan aur bhi hain
ye duniya to miT jaane wali hai lekin
zamin aur bhi aasman aur bhi hain
ye duniya to ek zarra-e-muKHtasar hai
makin aur bhi hain makan aur bhi hain
na tanha mera karwan rah mein hai
rah-e-ishq mein karwan aur bhi hain
na ho mutmain ek patthar haTa kar
ki raste mein sang-e-giran aur bhi hain
agar ji lage aap ka to sunaun
fasane kai bar-zaban aur bhi hain
kaho bijliyon se ki barsen musalsal
abhi bagh mein aashiyan aur bhi hain
'uruj' apne goshe se bahar to niklo
ki bahar hazaron jahan aur bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.