bhari mahfil mein qissa dard ka kaise sunaungi
bharī mahfil meñ qissa dard kā kaise sunā.ūñgī
bahut roī haiñ ye āñkheñ nazar kaise milā.ūñgī
tū sochoñ kī zamīñ ke rāste tabdīl kar baiThā
maiñ ujlat meñ nishān-e-bandagī kaise miTā.ūñgī
mirī is dard kī duniyā pe mat kar sang-bārī tū
bhalā maiñ bebasī ke zaḳhm ab kaise chhupā.ūñgī
vo TuuTā aa.ina dil kā to maiñ ne rok liiñ sāñseñ
uThegī dard siine meñ to phir kaise batā.ūñgī
judā.ī kī ḳhalish paa.ī milā mujh ko visāl-e-ġham
anā kī jang jiitī bhī vafā kaise nibhā.uñgī
chale haiñ qāfile yādoñ ke vīrānoñ kī bastī meñ
banā thā ham-safar tū bhī tujhe kaise bhulā.ūñgī
baḌhīñ haiñ vahshateñ mausam kī aise rog bhī paale
bahār-e-ārzū karne dubāra kaise ā.ūñgī
bhari mahfil mein qissa dard ka kaise sunaungi
bahut roi hain ye aankhen nazar kaise milaungi
tu sochon ki zamin ke raste tabdil kar baiTha
main ujlat mein nishan-e-bandagi kaise miTaungi
meri is dard ki duniya pe mat kar sang-bari tu
bhala main bebasi ke zaKHm ab kaise chhupaungi
wo TuTa aaina dil ka to main ne rok lin sansen
uThegi dard sine mein to phir kaise bataungi
judai ki KHalish pai mila mujh ko visal-e-gham
ana ki jang jiti bhi wafa kaise nibhaungi
chale hain qafile yaadon ke viranon ki basti mein
bana tha ham-safar tu bhi tujhe kaise bhulaungi
baDhin hain wahshaten mausam ki aise rog bhi pale
bahaar-e-arzu karne dubara kaise aaungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.