bhari mahfil mein ruswa ho gae the
bharī mahfil meñ rusvā ho ga.e the
hamī ghar ghar kā charchā ho ga.e the
ye kis ne piiTh par ḳhanjar chalāyā
sabhī dushman to paspā ho ga.e the
kisī mauj-e-sabā ke muntazir the
chaman ke phuul tanhā ho ga.e the
vo kis hastī ke lab kī jumbihsoñ se
kabhī patthar bhī goyā ho ga.e the
imārat juuñ kī tuuñ lagtī thī lekin
dar-o-dīvār murda ho ga.e the
tirī in jhiil sī āñkhoñ ke andar
samundar the jo sahrā ho ga.e the
bhari mahfil mein ruswa ho gae the
hami ghar ghar ka charcha ho gae the
ye kis ne piTh par KHanjar chalaya
sabhi dushman to paspa ho gae the
kisi mauj-e-saba ke muntazir the
chaman ke phul tanha ho gae the
wo kis hasti ke lab ki jumbihson se
kabhi patthar bhi goya ho gae the
imarat jun ki tun lagti thi lekin
dar-o-diwar murda ho gae the
teri in jhil si aankhon ke andar
samundar the jo sahra ho gae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.