bhari mahfil mein zabt-e-gham ba-asani bhi karte hain
bharī mahfil meñ zabt-e-ġham bā-āsānī bhī karte haiñ
magar tanhā.ī meñ ashkoñ kī arzānī bhī karte haiñ
miyāñ ham ḳhāksārī meñ javāb apnā nahīñ rakhte
zarūrat aa paḌe to phir hama-dānī bhī karte haiñ
unheñ mat dekheñ ahl-e-dil hiqārat kī nigāhoñ se
faqīrān-e-haram shahroñ pe sultānī bhī karte haiñ
shikāyat be-sabab karte haiñ apne gum-shuda dil kī
kabhī aap apnī chīzoñ kī nigahbānī bhī karte haiñ
khaḌe haiñ sab saf-e-insāniyat meñ haath bāñdhe par
zarā socheñ kabhī kyā kār-e-insānī bhī karte haiñ
yahī kaasa liye 'ḳhurshīd' jo phirte haiñ galiyoñ meñ
yahī jab vaqt aa jaa.e to man-mānī bhī karte haiñ
bhari mahfil mein zabt-e-gham ba-asani bhi karte hain
magar tanhai mein ashkon ki arzani bhi karte hain
miyan hum KHaksari mein jawab apna nahin rakhte
zarurat aa paDe to phir hama-dani bhi karte hain
unhen mat dekhen ahl-e-dil hiqarat ki nigahon se
faqiran-e-haram shahron pe sultani bhi karte hain
shikayat be-sabab karte hain apne gum-shuda dil ki
kabhi aap apni chizon ki nigahbani bhi karte hain
khaDe hain sab saf-e-insaniyat mein hath bandhe par
zara sochen kabhi kya kar-e-insani bhi karte hain
yahi kasa liye 'KHurshid' jo phirte hain galiyon mein
yahi jab waqt aa jae to man-mani bhi karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.