bharne ko jo daman koi phulon se chala ho
bharne ko jo dāman koī phūloñ se chalā ho
kyā jāniye us shaḳhs kā kyā haal huā ho
TuuTe hue kuchh ḳhvāb the paivasta-e-taqdīr
kirdār meñ un kā koī reza na chubhā ho
aisā bhī huā hai kabhī is dahr meñ lā kar
insān kī qismat ko ḳhudā bhuul gayā ho
jis aañkh ne is haal ko pahuñchāyā ho kyā ḳhuub
ye haal usī aañkh se dekhā na gayā ho
kis tarah phir āmādgī-e-qalb se maliye
dukhte hue ehsās kā jab zaḳhm harā ho
be-rabtī-e-anfās ke daurān tirī yaad
yuuñ jaise masīhā koī raste meñ milā ho
ik baar 'nasīm' aisī koī kījiye ḳhvāhish
jo shauq ke nā-karda gunāhoñ kī sazā ho
bharne ko jo daman koi phulon se chala ho
kya jaaniye us shaKHs ka kya haal hua ho
TuTe hue kuchh KHwab the paiwasta-e-taqdir
kirdar mein un ka koi reza na chubha ho
aisa bhi hua hai kabhi is dahr mein la kar
insan ki qismat ko KHuda bhul gaya ho
jis aankh ne is haal ko pahunchaya ho kya KHub
ye haal usi aankh se dekha na gaya ho
kis tarah phir aamadgi-e-qalb se maliye
dukhte hue ehsas ka jab zaKHm hara ho
be-rabti-e-anfas ke dauran teri yaad
yun jaise masiha koi raste mein mila ho
ek bar 'nasim' aisi koi kijiye KHwahish
jo shauq ke na-karda gunahon ki saza ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.