bharne lagta hai koi zaKHm to jab puchhte hain
bharne lagta hai koi zaKHm to jab puchhte hain
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
bharne lagtā hai koī zaḳhm to jab pūchhte haiñ
log yuuñ tujh se bichhaḌne kā sabab pūchhte haiñ
kyā tamasḳhur hai bulandī bhī ki ab haal apnā
pahle jin logoñ ne pūchhā nahīñ ab pūchhte haiñ
apnā paikar nahīñ pahchān badal kar aao
ye vo mahfil hai jahāñ nām-o-nasab pūchhte haiñ
husn vāloñ kī adā hai ki jafā hai kyā hai
hijr-zādoñ se ye afsāna-e-shab pūchhte haiñ
arzī insāf kī ham ne bhī lagā rakkhī hai
dekhiye zill-e-ilāhī hameñ kab pūchhte haiñ
qadr-dānoñ kī kamī hai magar 'anjum' sāhab
tum nahīñ hote ho mahfil meñ to sab pūchhte haiñ
bharne lagta hai koi zaKHm to jab puchhte hain
log yun tujh se bichhaDne ka sabab puchhte hain
kya tamasKHur hai bulandi bhi ki ab haal apna
pahle jin logon ne puchha nahin ab puchhte hain
apna paikar nahin pahchan badal kar aao
ye wo mahfil hai jahan nam-o-nasab puchhte hain
husn walon ki ada hai ki jafa hai kya hai
hijr-zadon se ye afsana-e-shab puchhte hain
arzi insaf ki hum ne bhi laga rakkhi hai
dekhiye zill-e-ilahi hamein kab puchhte hain
qadr-danon ki kami hai magar 'anjum' sahab
tum nahin hote ho mahfil mein to sab puchhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.