bharosa har kisi ka kho chuke hain
bharosa har kisī kā kho chuke haiñ
sar-e-bāzār rusvā ho chuke ho chuke haiñ
ġhulāmī kar rahe haiñ ḳhvāhishoñ kī
diloñ kī hukmrānī kho chuke haiñ
tavaqqo' hai mohabbat ke samar kī
agarche fasl-e-nafrat bo chuke haiñ
na rakh in se madad kī aas koī
zamīr in sab ke murda ho chuke haiñ
bhalā bāhar se kaise saaf hoñge
ye jab andar se maile ho chuke haiñ
sadāqat bhā.ī-chāra pyaar uḳhuvvat
ye sab maazī ke qisse ho chuke haiñ
jahāñ par kufr haavī ho rahā hai
ye lagtā hai musalmāñ so chuke haiñ
najāt ab to mile ranj-o-alam se
dukhoñ kā bojh kaafī Dho chuke haiñ
jo maut aa.e to rāhat ho mayassar
pareshāñ zindagī se ho chuke haiñ
magar vo sang-dil ab tak na pighlā
ka.ī baar us ke aage ro chuke haiñ
natīje meñ ham apnī ġhaflatoñ ke
vaqār ai 'shād' apnā kho chuke haiñ
bharosa har kisi ka kho chuke hain
sar-e-bazar ruswa ho chuke ho chuke hain
ghulami kar rahe hain KHwahishon ki
dilon ki hukmrani kho chuke hain
tawaqqo' hai mohabbat ke samar ki
agarche fasl-e-nafrat bo chuke hain
na rakh in se madad ki aas koi
zamir in sab ke murda ho chuke hain
bhala bahar se kaise saf honge
ye jab andar se maile ho chuke hain
sadaqat bhai-chaara pyar uKHuwwat
ye sab mazi ke qisse ho chuke hain
jahan par kufr hawi ho raha hai
ye lagta hai musalman so chuke hain
najat ab to mile ranj-o-alam se
dukhon ka bojh kafi Dho chuke hain
jo maut aae to rahat ho mayassar
pareshan zindagi se ho chuke hain
magar wo sang-dil ab tak na pighla
kai bar us ke aage ro chuke hain
natije mein hum apni ghaflaton ke
waqar ai 'shad' apna kho chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.