bharosa kar liya jis par usi ne hum ko luTa hai
bharosa kar liyā jis par usī ne ham ko luuTā hai
kahāñ tak naam ginvā.eñ sabhī ne ham ko luuTā hai
kabhī baḌh kar hamārā rāsta rokā añdheroñ ne
kabhī manzil dikhā kar raushnī ne ham ko luuTā hai
jo luTte maut ke hāthoñ to koī ġham nahīñ hotā
sitam is baat kā hai zindagī ne ham ko luuTā hai
hamārī bebasī par muskurā kar dekhne vaalo
tumhāre shahr kī ek ek galī ne ham ko luuTā hai
bharosa kar liya jis par usi ne hum ko luTa hai
kahan tak nam ginwaen sabhi ne hum ko luTa hai
kabhi baDh kar hamara rasta roka andheron ne
kabhi manzil dikha kar raushni ne hum ko luTa hai
jo luTte maut ke hathon to koi gham nahin hota
sitam is baat ka hai zindagi ne hum ko luTa hai
hamari bebasi par muskura kar dekhne walo
tumhaare shahr ki ek ek gali ne hum ko luTa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.