bharosa phulon ka kanTon ka eatibar nahin
bharosa phūloñ kā kāñToñ kā e.atibār nahīñ
ta.ayyunāt ke ḳhāke haiñ ye bahār nahīñ
maiñ kaise aap ke va.ade kā e.atibār karūñ
huzūr jab mujhe ḳhud apnā e.atibār nahīñ
mire shu.ūr-e-mohabbat kī jis se zillat ho
ḳhudā ke fazl se aisā mirā shi.ār nahīñ
vo but-kada ho ki ka.aba ho yā ki mai-ḳhāna
kisī jagah bhī mohabbat se mujh ko aar nahīñ
uThānī paḌtī hai zillat qadam qadam pe use
jahāñ meñ jis kā sadāqat agar shi.ār nahīñ
vo phuul ḳhaar hai jo gir gayā nazar se tirī
vo ḳhaar gul hai jo nazroñ meñ terī ḳhaar nahīñ
kisī kī saaqī ke qadmoñ pe hai jabīn-e-niyāz
kisī ko saaqī pe ḳhud apne e.atibār nahīñ
tū apnī āñkhoñ se saaqī pilā ke be-ḳhud kar
piyūñ maiñ jaam se aisā to bāda-ḳhvār nahīñ
gunāhgāroñ pe hai jab ki rahmatoñ kā nuzūl
kahūñ maiñ kaise phir 'akmal' gunāhgār nahīñ
bharosa phulon ka kanTon ka eatibar nahin
tayyunat ke KHake hain ye bahaar nahin
main kaise aap ke wade ka eatibar karun
huzur jab mujhe KHud apna eatibar nahin
mere shuur-e-mohabbat ki jis se zillat ho
KHuda ke fazl se aisa mera shiar nahin
wo but-kada ho ki kaba ho ya ki mai-KHana
kisi jagah bhi mohabbat se mujh ko aar nahin
uThani paDti hai zillat qadam qadam pe use
jahan mein jis ka sadaqat agar shiar nahin
wo phul KHar hai jo gir gaya nazar se teri
wo KHar gul hai jo nazron mein teri KHar nahin
kisi ki saqi ke qadmon pe hai jabin-e-niyaz
kisi ko saqi pe KHud apne eatibar nahin
tu apni aankhon se saqi pila ke be-KHud kar
piyun main jam se aisa to baada-KHwar nahin
gunahgaron pe hai jab ki rahmaton ka nuzul
kahun main kaise phir 'akmal' gunahgar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.