bharte hi chhalak jaana paimana-mizaji hai
bharte hī chhalak jaanā paimāna-mizājī hai
sāmān-e-musībat ye tiflāna-mizājī hai
ham haiñ ki dhaḌakte haiñ dil ban ke charāġhoñ kā
kyā aap ne samjhā hai parvāna-mizājī hai
ye qāfile sheroñ ke ye anjuman-ārā.ī
ġham-ḳhāna-e-hastī meñ dīvāna-mizājī hai
kyuuñ aaj ye mahfil meñ ḳhāmoshiyāñ bikhrī haiñ
gum-sum haiñ ka.ī chehre begāna-mizājī hai
bastā hī nahīñ koī sab jaane ko baiThe haiñ
is ghar hī kī qismat meñ vīrāna-mizājī hai
badlegā ye mausam bhī ye daur bhī guzregā
dekheñge yahāñ kab tak shāhāna-mizājī hai
ham ḳhaak hue aise miTtā hī nahīñ koī
lekin vahī saudā hai dīvāna-mizājī hai
'mumtāz' chalo ik din tāroñ se kareñ bāteñ
insānoñ kī fitrat meñ afsāna-mizājī hai
bharte hi chhalak jaana paimana-mizaji hai
saman-e-musibat ye tiflana-mizaji hai
hum hain ki dhaDakte hain dil ban ke charaghon ka
kya aap ne samjha hai parwana-mizaji hai
ye qafile sheron ke ye anjuman-arai
gham-KHana-e-hasti mein diwana-mizaji hai
kyun aaj ye mahfil mein KHamoshiyan bikhri hain
gum-sum hain kai chehre begana-mizaji hai
basta hi nahin koi sab jaane ko baiThe hain
is ghar hi ki qismat mein virana-mizaji hai
badlega ye mausam bhi ye daur bhi guzrega
dekhenge yahan kab tak shahana-mizaji hai
hum KHak hue aise miTta hi nahin koi
lekin wahi sauda hai diwana-mizaji hai
'mumtaz' chalo ek din taron se karen baaten
insanon ki fitrat mein afsana-mizaji hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.