bhaTak gaya tha hamara jo karwan na mila
bhaTak gayā thā hamārā jo kārvāñ na milā
kahāñ kahāñ use DhūñDā koī nishāñ na milā
jabīn-e-shauq thī bechain sajda karne ko
jabīn-e-shauq ko terā hī āstāñ na milā
fareb-o-jaur-o-sitam tere sah liye hañs kar
jahān-e-ishq ko ham sā bhī be-zabāñ na milā
ye chāñd phuul sitāre nasīm-e-sub.h-e-bahār
tujhe hī dekhā manāzir meñ tū kahāñ na milā
tumhāre shahr meñ sab kuchh milā vafā ke sivā
hazār DhūñDā koī yaar mehrbāñ na milā
hujūm-e-dard-o-alam meñ hī mubtalā paayā
bichhaḌ ke aap se koī bhī shādmāñ na milā
bharī bahār meñ 'shabnam' ḳhizāñ kā aalam hai
ki ḳhār-zār milā ham ko gulsitāñ na milā
bhaTak gaya tha hamara jo karwan na mila
kahan kahan use DhunDa koi nishan na mila
jabin-e-shauq thi bechain sajda karne ko
jabin-e-shauq ko tera hi aastan na mila
fareb-o-jaur-o-sitam tere sah liye hans kar
jahan-e-ishq ko hum sa bhi be-zaban na mila
ye chand phul sitare nasim-e-subh-e-bahaar
tujhe hi dekha manazir mein tu kahan na mila
tumhaare shahr mein sab kuchh mila wafa ke siwa
hazar DhunDa koi yar mehrban na mila
hujum-e-dard-o-alam mein hi mubtala paya
bichhaD ke aap se koi bhi shadman na mila
bhari bahaar mein 'shabnam' KHizan ka aalam hai
ki KHar-zar mila hum ko gulsitan na mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.