bhaTak na jā.ūñ kahīñ sail-e-tīrgī se bachā
mujhe parā.e charāġhoñ kī raushnī se bachā
har ik zabān pe taaza lahū kā zā.iqa hai
darindagī se hirāsāñ huuñ aadmī se bachā
har ek saa.e ko apnā vajūd khonā thā
vo rizq dhuup kā Thahrā jo chāñdnī se bachā
kisī ne phuul ajab zāviye se maarā thā
maiñ baal baal azāb-e-shikastagī se bachā
junūñ ko merī halākat kā iḳhtiyār nahīñ
bachā sake to mujhe merī āgahī se bachā
sadaf kā zarf atā kar ki buuñd ho kaafī
kahīñ jo bujh na sake aisī tishnagī se bachā
'sharīf' ko jo tire ġham se be-niyāz kare
mire ḳhudā mujhe aisī burī ghaḌī se bachā
bhaTak na jaun kahin sail-e-tirgi se bacha
mujhe parae charaghon ki raushni se bacha
har ek zaban pe taza lahu ka zaiqa hai
darindagi se hirasan hun aadmi se bacha
har ek sae ko apna wajud khona tha
wo rizq dhup ka Thahra jo chandni se bacha
kisi ne phul ajab zawiye se mara tha
main baal baal azab-e-shikastagi se bacha
junun ko meri halakat ka iKHtiyar nahin
bacha sake to mujhe meri aagahi se bacha
sadaf ka zarf ata kar ki bund ho kafi
kahin jo bujh na sake aisi tishnagi se bacha
'sharif' ko jo tere gham se be-niyaz kare
mere KHuda mujhe aisi buri ghaDi se bacha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.