bhaTak raha hun man mein teri aas liye
bhaTak rahā huuñ man meñ terī aas liye
kitne sundar sapnoñ kā ban-bās liye
tujh bin manvā jal darshan ko tarse hai
saat samundar ḳhushk laboñ ke paas liye
chaaT rahā huuñ barsoñ se apnā hī lahū
pal do pal kī rāhat kā vishvās liye
sonā sā Dhalkā ke ufuq meñ Duub gayā
ghāyal panchhī ḳhuun meñ lithḌī aas liye
auroñ ko sairāb kare hai merā vajūd
apne andar janam janam kī pyaas liye
dil par ubhrā ek anokhā ghaav 'atīq'
kitne purāne zaḳhmoñ kī bū-bās liye
bhaTak raha hun man mein teri aas liye
kitne sundar sapnon ka ban-bas liye
tujh bin manwa jal darshan ko tarse hai
sat samundar KHushk labon ke pas liye
chaT raha hun barson se apna hi lahu
pal do pal ki rahat ka wishwas liye
sona sa Dhalka ke ufuq mein Dub gaya
ghayal panchhi KHun mein lithDi aas liye
auron ko sairab kare hai mera wajud
apne andar janam janam ki pyas liye
dil par ubhra ek anokha ghaw 'atiq'
kitne purane zaKHmon ki bu-bas liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.