bhaTak rahi hai andhere mein zindagi to nahin
bhaTak rahī hai añdhere meñ zindagī to nahīñ
vo jis ko DhūñD rahā huuñ kahīñ vahī to nahīñ
dikhā.ī detā hai ab bhī dhuāñ dhuāñ har sū
lagī thī aag jo ghar meñ abhī bujhī to nahīñ
bhaTak rahī hai jo karb-o-alam ke sahrā meñ
use pukār ke dekho vo zindagī to nahīñ
vo laash dekh ke dushman kī ro diyā āḳhir
hazār kuchh ho ye insāniyat marī to nahīñ
nahīñ hai daulat-e-duniyā to ġham nahīñ 'fārūq'
matā-e-dard kā ham se koī dhanī to nahīñ
bhaTak rahi hai andhere mein zindagi to nahin
wo jis ko DhunD raha hun kahin wahi to nahin
dikhai deta hai ab bhi dhuan dhuan har su
lagi thi aag jo ghar mein abhi bujhi to nahin
bhaTak rahi hai jo karb-o-alam ke sahra mein
use pukar ke dekho wo zindagi to nahin
wo lash dekh ke dushman ki ro diya aaKHir
hazar kuchh ho ye insaniyat mari to nahin
nahin hai daulat-e-duniya to gham nahin 'faruq'
mata-e-dard ka hum se koi dhani to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.