bhaTak rahi hai andheron mein aankh dekhe kya
bhaTak rahī hai añdheroñ meñ aañkh dekhe kyā
rukī hai soch ki ab aur aage soche kyā
har ek raah hai sunsān har galī ḳhāmosh
ye shahr shahr-e-ḳhamoshāñ hai koī bole kyā
bujhī bujhī sī tamannā thakī thakī sī umiid
ab aur yaas ke sahrā meñ koī chāhe kyā
huī hai sub.h se kis tarah shaam shaam se sub.h
jo merī jaan pe guzrī hai koī samjhe kyā
har ek fard hai yaañ apnī apnī soch meñ gum
javāb ḳhud se gurezāñ savāl pūchhe kyā
bhaTak rahi hai andheron mein aankh dekhe kya
ruki hai soch ki ab aur aage soche kya
har ek rah hai sunsan har gali KHamosh
ye shahr shahr-e-KHamoshan hai koi bole kya
bujhi bujhi si tamanna thaki thaki si umid
ab aur yas ke sahra mein koi chahe kya
hui hai subh se kis tarah sham sham se subh
jo meri jaan pe guzri hai koi samjhe kya
har ek fard hai yan apni apni soch mein gum
jawab KHud se gurezan sawal puchhe kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.