bhaTakta hun magar khoya nahin hun
bhaTakta hun magar khoya nahin hun
Chandrashekhar Pandey Shams
MORE BYChandrashekhar Pandey Shams
bhaTaktā huuñ magar khoyā nahīñ huuñ
banā.ī raah pe chaltā nahīñ huuñ
mujhe rañgne kī koshish mat karo tum
maiñ maazī kā koī pannā nahīñ huuñ
mujhe hī log kho dete haiñ aksar
kisī ko maiñ kabhī khotā nahīñ huuñ
maiñ shāmil huuñ faqīroñ kī ḳhushī meñ
maiñ sikka huuñ magar khoTā nahīñ huuñ
nahā letā huuñ jā kar mai-kade meñ
lahū se haath maiñ dhotā nahīñ huuñ
ġhazal ke gaañv meñ sab haiñ munāfiq
kisī ke ghar maiñ ab jaatā nahīñ huuñ
bichhā kar jism kī chādar vo bolā
samajhte ho jo tum vaisā nahīñ huuñ
mirī qīmat girā sakte nahīñ tum
maiñ insāñ huuñ koī rupya nahīñ huuñ
bhaTakta hun magar khoya nahin hun
banai rah pe chalta nahin hun
mujhe rangne ki koshish mat karo tum
main mazi ka koi panna nahin hun
mujhe hi log kho dete hain aksar
kisi ko main kabhi khota nahin hun
main shamil hun faqiron ki KHushi mein
main sikka hun magar khoTa nahin hun
naha leta hun ja kar mai-kade mein
lahu se hath main dhota nahin hun
ghazal ke ganw mein sab hain munafiq
kisi ke ghar main ab jata nahin hun
bichha kar jism ki chadar wo bola
samajhte ho jo tum waisa nahin hun
meri qimat gira sakte nahin tum
main insan hun koi rupya nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.