bhaTakte yunhi rahenge kab tak to kya Thikana koi nahin hai
bhaTakte yunhi rahenge kab tak to kya Thikana koi nahin hai
Ankit Maurya
MORE BYAnkit Maurya
bhaTakte yūñhī raheñge kab tak to kyā Thikānā koī nahīñ hai
hamāre hissa meñ koī bastī yā koī sahrā koī nahīñ hai
sivā tumhāre sunā.eñ kis ko ham apne dil kī do-chār bāteñ
sivā tumhāre yahāñ pe apnā hamāre maulā koī nahīñ hai
tumhārī ḳhātir to ham se behtar bhī bas hamīñ haiñ ai shāhzādī
ki ham se baḌh kar tumhārā āshiq yā phir divāna koī nahīñ hai
tumhāre jaane pe apne dil kī hasīn bastī ujaaḌ deñge
o jān-e-jānāñ yahāñ ke laa.eq hī aur duujā koī nahīñ hai
kisī ke dil meñ hamārī ḳhvāhish kisī ke lab pe hamāre bose
ḳhudā ke itne baḌe jahāñ meñ bhī shaḳhs aisā koī nahīñ hai
yuuñ jā rahe ho zamāne-ḳhātir to chhoḌ ham ko ai dost lekin
ye dhyān rakhnā sivā hamāre hamāre jaisā koī nahīñ hai
bhaTakte yunhi rahenge kab tak to kya Thikana koi nahin hai
hamare hissa mein koi basti ya koi sahra koi nahin hai
siwa tumhaare sunaen kis ko hum apne dil ki do-chaar baaten
siwa tumhaare yahan pe apna hamare maula koi nahin hai
tumhaari KHatir to hum se behtar bhi bas hamin hain ai shahzadi
ki hum se baDh kar tumhaara aashiq ya phir diwana koi nahin hai
tumhaare jaane pe apne dil ki hasin basti ujaD denge
o jaan-e-jaanan yahan ke laeq hi aur duja koi nahin hai
kisi ke dil mein hamari KHwahish kisi ke lab pe hamare bose
KHuda ke itne baDe jahan mein bhi shaKHs aisa koi nahin hai
yun ja rahe ho zamane-KHatir to chhoD hum ko ai dost lekin
ye dhyan rakhna siwa hamare hamare jaisa koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.