bhaTakti hain zamane mein hawaen
bhaTaktī haiñ zamāne meñ havā.eñ
kise āvāz deñ kis ko balā.eñ
ye dil kā shahr mushkil se basā thā
chalo is shahr meñ ab ḳhaak uḌā.eñ
kabhī duniyā par us ke raaz kholeñ
kabhī apnī bhī āgāhī na paa.eñ
kabhī shor-e-qayāmat se khule aañkh
kabhī pattā hile aur chauñk jaa.eñ
mirī duniyā meñ rahnā chāhtī haiñ
purānī sohbatoñ kī apsarā.eñ
mire kānoñ meñ basnā chāhtī haiñ
ga.e-guzre zamānoñ kī sadā.eñ
bhaTakti hain zamane mein hawaen
kise aawaz den kis ko balaen
ye dil ka shahr mushkil se basa tha
chalo is shahr mein ab KHak uDaen
kabhi duniya par us ke raaz kholen
kabhi apni bhi aagahi na paen
kabhi shor-e-qayamat se khule aankh
kabhi patta hile aur chaunk jaen
meri duniya mein rahna chahti hain
purani sohbaton ki apsaraen
mere kanon mein basna chahti hain
gae-guzre zamanon ki sadaen
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 71)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.