bhaTakti phirti hai din raat dar-ba-dar tanha
bhaTaktī phirtī hai din raat dar-ba-dar tanhā
ye kis ko DhūñDhtī rahtī hai rahguzar tanhā
tamām raat yahāñ koī aatā jaatā rahā
khulā rahā mirī tanhā.iyoñ kā dar tanhā
jo mujh se din ke ujāle meñ chhin gayā thā bhī
maiñ us ko DhūñDhtā rahtā huuñ raat bhar tanhā
har ek ḳhvāb ko bikhrā diyā judā.ī ne
tumhārī raat akelī mirā safar tanhā
maiñ zarra zarra bikhartā huuñ phail jaatā huuñ
mujhe sameTtī rahtī hai vo nazar tanhā
bhaTakti phirti hai din raat dar-ba-dar tanha
ye kis ko DhunDhti rahti hai rahguzar tanha
tamam raat yahan koi aata jata raha
khula raha meri tanhaiyon ka dar tanha
jo mujh se din ke ujale mein chhin gaya tha bhi
main us ko DhunDhta rahta hun raat bhar tanha
har ek KHwab ko bikhra diya judai ne
tumhaari raat akeli mera safar tanha
main zarra zarra bikharta hun phail jata hun
mujhe sameTti rahti hai wo nazar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.