bhaTka hua KHayal hai uqba kahen jise
bhaTkā huā ḳhayāl hai uqbā kaheñ jise
bhūlā huā sā ḳhvāb hai duniyā kaheñ jise
dekhe shab-e-firāq meñ koī to ham dikhā.eñ
dil kā vo daaġh chāñd kā TukḌā kaheñ jise
zālim kī aarzū ne jagah lī hai is tarah
dil meñ chhupā huā koī kāñTā kaheñ jise
in aarsī ke dekhne vāloñ ko kyā parakh
achchhā hai vo hasīn ham achchhā kaheñ jise
gulzār meñ vo phuul hai jis kā hai naam mai
zāhid vo sard baaġh hai miinā kaheñ jise
vāqif nahīñ vo roz-e-qayāmat ke tuul se
va.ada kiyā hai va.ada-e-fardā kaheñ jise
hāsil agar huī bhī to hāsil nahīñ hai kuchh
be-e'tibār chiiz hai duniyā kaheñ jise
itnī to ho bayān meñ vaa.iz shaguftagī
ham riñd sun ke qulqul-e-mīnā kaheñ jise
ahl-e-haram meñ jā ke binā aaj shaiḳh-e-vaqt
kāfir 'riyāz' pīr-e-kalīsā kaheñ jise
bhaTka hua KHayal hai uqba kahen jise
bhula hua sa KHwab hai duniya kahen jise
dekhe shab-e-firaq mein koi to hum dikhaen
dil ka wo dagh chand ka TukDa kahen jise
zalim ki aarzu ne jagah li hai is tarah
dil mein chhupa hua koi kanTa kahen jise
in aarsi ke dekhne walon ko kya parakh
achchha hai wo hasin hum achchha kahen jise
gulzar mein wo phul hai jis ka hai nam mai
zahid wo sard bagh hai mina kahen jise
waqif nahin wo roz-e-qayamat ke tul se
wada kiya hai wada-e-farda kahen jise
hasil agar hui bhi to hasil nahin hai kuchh
be-e'tibar chiz hai duniya kahen jise
itni to ho bayan mein waiz shaguftagi
hum rind sun ke qulqul-e-mina kahen jise
ahl-e-haram mein ja ke bina aaj shaiKH-e-waqt
kafir 'riyaz' pir-e-kalisa kahen jise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.