bhawen tanti hain KHanjar hath mein hai tan ke baiThe hain
bhaveñ tantī haiñ ḳhanjar haath meñ hai tan ke baiThe haiñ
kisī se aaj bigḌī hai ki vo yuuñ ban ke baiThe haiñ
ilāhī kyoñ nahīñ uThtī qayāmat mājrā kyā hai
hamāre sāmne pahlū meñ vo dushman ke baiThe haiñ
asar hai jazb-e-ulfat meñ to khiñch kar aa hī jā.eñge
hameñ parvā nahīñ ham se agar vo tan ke baiThe haiñ
subuk ho jā.eñge gar jā.eñge vo bazm-e-dushman meñ
ki jab tak ghar meñ baiThe haiñ vo lākhoñ man ke baiThe haiñ
nigāh-e-shoḳh-o-chashm-e-shauq meñ dar-parda chhantī hai
ki vo chilman meñ haiñ nazdīk ham chilman ke baiThe haiñ
ye uThnā baiThnā mahfil meñ un kā rang lā.egā
qayāmat ban ke uTTheñge bhabhūkā ban ke baiThe haiñ
koī chhīñTā paḌe to 'dāġh' kalkatte chale jaa.eñ
azīmābād meñ ham muntazir sāvan ke baiThe haiñ
bhawen tanti hain KHanjar hath mein hai tan ke baiThe hain
kisi se aaj bigDi hai ki wo yun ban ke baiThe hain
ilahi kyon nahin uThti qayamat majra kya hai
hamare samne pahlu mein wo dushman ke baiThe hain
asar hai jazb-e-ulfat mein to khinch kar aa hi jaenge
hamein parwa nahin hum se agar wo tan ke baiThe hain
subuk ho jaenge gar jaenge wo bazm-e-dushman mein
ki jab tak ghar mein baiThe hain wo lakhon man ke baiThe hain
nigah-e-shoKH-o-chashm-e-shauq mein dar-parda chhanti hai
ki wo chilman mein hain nazdik hum chilman ke baiThe hain
ye uThna baiThna mahfil mein un ka rang laega
qayamat ban ke uTThenge bhabhuka ban ke baiThe hain
koi chhinTa paDe to 'dagh' kalkatte chale jaen
azimabaad mein hum muntazir sawan ke baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.