bheja hua hai aur na bulaya hua hai dard
bhejā huā hai aur na bulāyā huā hai dard
mehmān ban ke dil meñ samāyā huā hai dard
āñkhoñ se ik jhaḌī hai musalsal lagī huī
lagtā hai āshiqī kā satāyā huā hai dard
ham haiñ jazā-e-tīra-shabī meñ guñdhe hue
apnī razā se dil se lagāyā huā hai dard
jaise milā.e rind-e-ḳharābāt mai se mai
ham ne bhī shām-e-ġham meñ milāyā huā hai dard
jis ishtihā-e-ishq ko sadiyāñ guzar ga.iiñ
mushkil se is maqām pe laayā huā hai dard
din kārhā-e-mashq-e-zamāna meñ kaaT kar
shab kī riyāzatoñ se kamāyā huā hai dard
pahle pahal to dard varā-e-gumān thā
aur ab surūr-e-zabt kā bhāyā huā hai dard
ik fard-e-nā-shanās kī chāhat meñ 'ābdī'
muddat huī ki dil ne bhulāyā huā hai dard
bheja hua hai aur na bulaya hua hai dard
mehman ban ke dil mein samaya hua hai dard
aankhon se ek jhaDi hai musalsal lagi hui
lagta hai aashiqi ka sataya hua hai dard
hum hain jaza-e-tira-shabi mein gundhe hue
apni raza se dil se lagaya hua hai dard
jaise milae rind-e-KHarabaat mai se mai
hum ne bhi sham-e-gham mein milaya hua hai dard
jis ishtiha-e-ishq ko sadiyan guzar gain
mushkil se is maqam pe laya hua hai dard
din karha-e-mashq-e-zamana mein kaT kar
shab ki riyazaton se kamaya hua hai dard
pahle pahal to dard wara-e-guman tha
aur ab surur-e-zabt ka bhaya hua hai dard
ek fard-e-na-shanas ki chahat mein 'abdi'
muddat hui ki dil ne bhulaya hua hai dard
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.