bhiD mein bhi main hi nikla aap apna aashna
bhiiḌ meñ bhī maiñ hī niklā aap apnā āshnā
ā.ina-ḳhāne meñ hogā kaun kis kā āshnā
rang us kā dhul gayā to oḌh lī maiñ ne naqāb
jo thā dushman merā kal tak aaj niklā āshnā
pūchhtā hai aksar ā.īne se vo apnā pata
jis ne dar par apne likkhā thā zamāna-āshnā
ab to bas rahtā hai merī āhaToñ kā muntazir
ho gayā hai paas ke ghar kā darīcha āshnā
tishnagī apnī bujhā lī us se sahrā ne 'salīm'
ho nahīñ paayā samundar se vo dariyā āshnā
bhiD mein bhi main hi nikla aap apna aashna
aaina-KHane mein hoga kaun kis ka aashna
rang us ka dhul gaya to oDh li main ne naqab
jo tha dushman mera kal tak aaj nikla aashna
puchhta hai aksar aaine se wo apna pata
jis ne dar par apne likkha tha zamana-ashna
ab to bas rahta hai meri aahaTon ka muntazir
ho gaya hai pas ke ghar ka daricha aashna
tishnagi apni bujha li us se sahra ne 'salim'
ho nahin paya samundar se wo dariya aashna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.