Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhiD thi lekin banam-e-dostan koi nahin tha

Shahram Sarmadi

bhiD thi lekin banam-e-dostan koi nahin tha

Shahram Sarmadi

MORE BYShahram Sarmadi

    bhiiḌ thī lekin banām-e-dostāñ koī nahīñ thā

    mehrbāñ sach kah rahā huuñ mehrbāñ koī nahīñ thā

    aaj maiñ jis qarya-e-sar-sabz ke uupar khaḌā huuñ

    ibtidā meñ us ke sar par āsmāñ koī nahīñ thā

    mere hisse meñ likkhā thā samā'at ko tarasnā

    varna atrāf-o-javānib be-zabāñ koī nahīñ thā

    sub.h kaise hai fursat se batā.ūñgā kisī din

    haañ yaqīñ jaano shab-e-rafta yahāñ koī nahīñ thā

    dauḌtā phirtā thā kyā rag rag meñ merī aag phir

    fasd khulvā.ī to ḳhuuñ jaisā nishāñ koī nahīñ thā

    saḳht hairat hai ki kis ranj-e-musalsal meñ rahā maiñ

    kār-o-bār-e-zīst meñ sūd-o-ziyāñ koī nahīñ thā

    bhiD thi lekin banam-e-dostan koi nahin tha

    mehrban sach kah raha hun mehrban koi nahin tha

    aaj main jis qarya-e-sar-sabz ke upar khaDa hun

    ibtida mein us ke sar par aasman koi nahin tha

    mere hisse hi mein likkha tha sama'at ko tarasna

    warna atraf-o-jawanib be-zaban koi nahin tha

    subh kaise ki hai fursat se bataunga kisi din

    han yaqin jaano shab-e-rafta yahan koi nahin tha

    dauDta phirta tha kya rag rag mein meri aag sa phir

    fasd khulwai to KHun jaisa nishan koi nahin tha

    saKHt hairat hai ki kis ranj-e-musalsal mein raha main

    kar-o-bar-e-zist mein sud-o-ziyan koi nahin tha

    Source :
    • Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 60)
    • Author :Shahram Sarmadi
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now