bhige badan bane hain yahan wajh-e-tishnagi
bhīge badan bane haiñ yahāñ vaj.h-e-tishnagī
bārish ne saare shahr meñ ḳhushkī bikher dī
vo to bajā hai pahre lage the furāt par
lekin kuchh āsmāñ ne bhī rone meñ der kī
maiñ huuñ jo pahle pyaar meñ bhī nā-murād thā
mujh ko to first aiD hī achchhī nahīñ milī
haiñ hech mere sāmne power plant bhī
maiñ kar rahā huuñ gaañv meñ lafzoñ se raushnī
haiñ mīr-e-ḳhuld sāqī-e-kausar ke baab meñ
paanī ne jin kī pyaas bujhāne meñ der kī
bhige badan bane hain yahan wajh-e-tishnagi
barish ne sare shahr mein KHushki bikher di
wo to baja hai pahre lage the furaat par
lekin kuchh aasman ne bhi rone mein der ki
main hun jo pahle pyar mein bhi na-murad tha
mujh ko to first aiD hi achchhi nahin mili
hain hech mere samne power plant bhi
main kar raha hun ganw mein lafzon se raushni
hain mir-e-KHuld saqi-e-kausar ke bab mein
pani ne jin ki pyas bujhane mein der ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.