bhige honTon ka tasawwur liye sukhe hue honT
bhīge hoñToñ kā tasavvur liye sūkhe hue hoñT
hijr meñ ham liye baiThe rahe tarse hue hoñT
bevafā.ī laboñ kā svaad badal detī hai
ham na chūmeñge kisī aur ke chūme hue hoñT
ruuh tak zā.iqe tabdīl kiye haiñ us ne
is pe kyā chauñkeñ use chuum ke mīThe hue hoñT
kis qadar pyaas kā taḌpāyā huā hogā vo
kitne sūkhe haiñ musavvir ke banā.e hue hoñT
chuum kar us ne hathelī se uḌāyā bosa
maiñ ne āñkhoñ pe raqam kar liye uḌte hue hoñT
ye batāte haiñ samundar zamīñ kā pyāsā hai
ye kināroñ kī taraf lahr ke aate hue hoñT
raat us mo.ajize kā sab se hasīñ chehra hai
chāñd hai raat ke chehre pe sajā.e hue hoñT
bhige honTon ka tasawwur liye sukhe hue honT
hijr mein hum liye baiThe rahe tarse hue honT
bewafai labon ka swad badal deti hai
hum na chumenge kisi aur ke chume hue honT
ruh tak zaiqe tabdil kiye hain us ne
is pe kya chaunken use chum ke miThe hue honT
kis qadar pyas ka taDpaya hua hoga wo
kitne sukhe hain musawwir ke banae hue honT
chum kar us ne hatheli se uDaya bosa
main ne aankhon pe raqam kar liye uDte hue honT
ye batate hain samundar zamin ka pyasa hai
ye kinaron ki taraf lahr ke aate hue honT
raat us moajize ka sab se hasin chehra hai
chand hai raat ke chehre pe sajae hue honT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.